Label 10

Home » , , , , , , » ISSAQ ALL SONGS LYRICS

ISSAQ ALL SONGS LYRICS

Written By Unknown on Monday 8 July 2013 | 00:55

ISSAQ : A 2013 Hindi Romance film directed by Manish Tiwary and produced by Dhaval Gada and Shailesh R. Singh. The film features Prateik Babbar, Rajeshwari Sachdev, Ravi Kishan and Makarand Deshpande asmain characters.

ISSAQ TERA





Kuch Reshmi Hai
Kuch Khurdura Hai
Abhi Beh Chala Hai
Abhi Hai Rukka
Hath Mein Hai Raith Sa
Issaq Tera

Uss Paar Tu Hai
Iss Paar Main
Lagta Hai Dooboonga Iss Baar Mein
Jaane Kaha Hai Le Chala
Issaq Tera
O Saare Jaha Se Hai Juda

Issaq Tera
OooooooOoOoO

Tu Mere Main Tere
Samne Jab Talak
Yeh Zameen Yeh Palak
Khoobsurat Lage
Kisht Mein Hai Mili
Aaj Ki Yeh Khushi
Gin Rake Hai Magar
Kal Ke Lamhe Sabhi
Kuch Der Tujhko Bhi
Tak Loonga Main

Palkon Ki Taaron Main
Rakh Loonga Main
Hai Subah Ke Khwab Sa

Issaq Tera
O Hath Mein Hai Raith Sa
Issaq Tera

Uss Paar Tu Hai
Iss Paar Main
Lagta Dooboonga Iss Baar Mein
Jaane Kaha Hai Le Chala

Issaq Tera
O Saare Jahan Se Hai Juda
Issaq Tera…

ENNE UNNE


Hmm..
Dil ka chakmak patthar ghis ke sapnon ko sulga le
Oho oho… ho..

Dil ka chakmak patthar ghis ke sapnon ko sulga le
Nainon mein machle talwaarein aa jao aajma lein
Re hawabaaz ye pad naa jaayein lene ke dene re ho..
Enne unne ho gaya sab, enne unne re..
Hey enne unne ho gaya, sab enne unne re..
Hey enne unne ho gaya, sab enne unne re..

Enne unne, enne unne re
Enne unne, enne unne re

Je ghamasaan

[Karke solah singaar
Baahar niklo na sarkar
Chauk pe gunde chalein
Sab ghoomein le ke hathiyaar] …(2)

Chhaila naam na phaansi chadhihen munna
Gunda goli khaa ke marihein
Chhaila naam na phaansi chadhihen munna
Gunda goli khaa ke marihein
Ab na samjho humko koi aune paune des..

Sab enne unne ho gaya, sab enne unne re..
Sab enne unne ho gaya, sab enne unne re..
Sab enne unne ho gaya, sab enne unne re..

Enne unne, enne unne re
Enne unne, enne unne re

Bukni bukni kar diya re..

Yeh raat dard, yeh joban
Har ghoont ghoont hum niglein

Chalo..
Yeh raat dard, yeh joban
Har ghoont ghoont hum niglein
Tujhe sewat sewat chakh lein
Hum maara maara pighlein
Aur raat bitaayein bemanwa
Tu chakh le tak re

[Sau feesadi shartiya
Hum kar denge ilaaj
Chhoot gayi jo koi kasar
To keh dena tum aaj] …(2)

Kal aughad bulwa denge
Dhat badmaas..
Hey aughad bulwa karwa denge ho..
Hey aughad bulwa karwa denge jaadu tone re..

Sab enne unne ho gaya, sab enne unne re..
Sab enne unne ho gaya, sab enne unne re..
Sab enne unne ho gaya, sab enne unne re..

Enne unne, enne unne re
Enne unne, enne unne re

O chhod ke gudde gudiyaan jo ho sapne bune re
Bachche ji dilwa denge hum naye khilaune re
Chhod ke gudde gudiyaan jo ho sapne bune re
Bachche ji dilwa denge hum naye khilaune re
O bachche ji dilwa denge hum naye khilaune re
Arre sapnon ki jaat farebi..
Arre sapnon ki jaat farebi..
Kuchh bodam khapti kar de
Aabar-tabar dil ki teri purgi jab ki kar de
Kaansa taamba beche keh ke chaandi sone re

[Sab enne unne ho gaya, sab enne unne re..] …(7)

Enne unne, enne unne re
Enne unne, enne unne re

Ka baat..

BHAGAN KE





Bhaagan ke o o..

[Bhaagan ke rekhan ki bahangiya..
Bahangi lachkat jaaye
Bahangi lachkat jaaye..] …(2)

Bhejo re kaahe baba hamka peehar se
Bitiya se banni banke kahaan pahunchaaye
Saha bhi na jaaye O.. ka karein haaye..

Kahaan khaatir chale re kahariya
Bahangi kahaan pahunchaaye..
Bahangi kahaan pahunchaaye..

Bachpan se paale aisan bitiya kaahe
Bahiyan ke palna jhulaaye
Khusiyan ke ras man mein kaahe re..
Baba tumne baraatiya liyo bulwaaye

Kaahe doli banwaaye
Amma madwa chhawaaye
Chale silwayan haldi ta pis pis jaaye

Bhaagan ke rekhan ki bahangiya
Bahangi lachikat jaaye
Bahangi lachkat jaaye..

Hmm…
Suraj sa chamkega
Moar mukut pehnega
Raaja ban ke chalega banna hamara re

Jeeja ko na poochhega
Arre phupha ko na laayega
Mama ko lootega
Chacha khisiyaaega
Behnon ko thumka lagata laayega

Kaala peela tedha medha
Banna baraati aisa laaya re
Ka karein haaye, kahaan chali jaayein
Banno saram se mar-mar jaaye
Banno sharam se mar-mar jaaye..

Bhaagan ke rekhan ki bahangiya
Bahangi lachikat jaaye
Bahangi lachikat jaaye..

Sunwa sa piyar bitiya sun le..
Tore nikrat hi nikre na jaan..
Bitiya ke baba se na poochho re..
Madwa ke kaisan hola bihaan

Chale chalenge kahaar
Maiyya aansuan ki dhaar
Banni ro ro ke hui jaaye hai taar taar..

Bhaagan ke rekhan ki bahangiya
Bahangi lachkat jaaye
Bahangi lachkat jaaye re..

AAG KA DARIYA


Aaa.. Aaa..
Zarra zarra jale, zarra zarra phunke
Aslahe aslahe rom rom tape

Woh teer si chubhti khoon ki baari
Jung ka yeh silsila janma se jaari
Mere jism mein jaise rooh hai jaagi
Mujh mein hi jaise koi ho gaya hai baaghi
Parinde ko udna hai
Sab saadhe nishana hain

Ye aag ka dariya hai doob ke jaana…
Ye aag ka dariya hai doob ke jaana hai..

O… O… O… O…

Kyun tere roop rang mein khan khan hai
Aur batiyan mein ras manthan hai
Kyun tere roop rang mein khan khan hai
Aur batiyan mein ras manthan hai
Tu bharam hai ya ehsaas mera
Mast hothon ki chhan chhan hai

Gehre gehre mein ho
Tu laakh pehron mein
Hoga jo ho tujhe paana hai
Ye aag ka dariya hai doob ke jaana hai
Yeh aag ka dariya hai doob ke jaana hai..

Rang se tere juda hoke
Berang hi mujhko rehna hai
Ae… aa..
Rang se tere juda hoke
Berang hi mujhko rehna hai
Pal pal palchhin mann vaare
Kahe ki kuchh na kehna hai
Tukdon tukdon mein jee main raha
Ab pura na ho paooonga main yahaan
Zarre ko baazi haan toofan se lagaana hai..

Ye aag ka dariya hai doob ke jaana hai..
Ye aag ka dariya hai doob ke jaana hai… ae..

JHEENI RE JHEENI




Aankhiyaan kinaron se jo
Boli thi isaaron se jo
Keh de jo phir se tu zara..

Phool se chhua tha tohe
Tab kya hua tha mohe
Sun le jo phir se to zara..

Jheeni re jheeni yaad chunariya..
Lo phir se tera.. naam liya..
Jheeni re jheeni yaad chunariya..
Lo phir se tera.. naam liya..

Saare zakham ab meethe laage
Koi marham bhala ab kya laage
Dard hi sohe mohe.. jo bhi hove..
Tute na, tute na, tute na, tute na..

Sujhe nahi boojhe kaise, jiyara paheli
Milna likha na likha, padh le hatheli
Padh li hatheli piya
Dard saheli piya
Ram ka hai gham ab na hamein
Rang ye laga ko aiso
Rang rej ko bhi jaiso
Rang deve apne rang mein

Jheeni re jheeni yaad chunariya..
Lo phir se tera.. naam liya..
Jheeni re jheeni yaad chunariya..
Lo phir se tera.. naam liya..

Aa…
Sun re manaa…
Hoon teri jaisi..
Kaahe sataaye aadhi raat
Nadiya bairi bhayee, bairi bhayee

Zehar chakha hai, aag hai peeni
Ungli gad gayi peer nukeeli
Bani aankhon ki chhalan chamkeeli
Tute na, tute na, tute na, tute na..

Dhoop mein jhulas gaye
Dooriyon se haare
Paar kya milenge kabhi
Chhaaon ke kinaare

Aa.. chhaaon ke kinaare kabhi
Kahin majhdhaare kabhi
Hum to milenge dekhna..
Tere sarhaane kabhi
Neend ke bahaane kabhi
Aayenge hum aise dekhna..

Jheeni re jheeni yaad chunariya..
Lo phir se tera.. naam liya..
Jheeni re jheeni yaad chunariya..
Lo phir se tera.. naam liya..

Yaad chunariya..
Yaad chunariya..
Yaad chunariya..
Share this article :

Post a Comment

Label 3

Gallery
 
Support : Creating Website | Johny Template | Mas Template
Copyright © 2011. . - All Rights Reserved
Template Created by Creating Website Published by Mas Template
Proudly powered by Blogger